Us bechari ne Jinhe apna socha tha
Unhi darindo ne usko nocha tha
Kuch din dharna karke sab maun ho jate hain
Kuch din  surkhiyon mein to rahete hain
Fir itihaas banke kahi kho jate hain
Na us ladki ke kapdo ki thi bhul
Na uske bharose ki thi bhul
Na uske umar ki thi bhul
Na uske ghar der se aane ki thi bhul
Bhul na kisiki thi....
thi to us darinde ki
sanskar aur niyat mein thi dhul
Ab us dhul ko humhe saaf karna hain
Bhul se bhi aise darindo ko na maaf karna hain
Humhe ek sath hoke in gandagi ko saaf karna hain
Ladkiyo ko na rok kar humhe ladko ko sikhana hoga
Ab humhe samaaj mein badlav lana hoga
Beti bachao beti padhao abhiyan na chalake
Humhe beto ko padhana hoga

 

Thumbnail courtesy : Tano Bonfanti